Ye yaadein bhi ajeeb hoti hain, jab dekho bin bulaye aa jati hain. Jab jo bhoolna chaho wo yaad a jata hai aur jo yaad karna chaho wo bhul jata hai. Aur jab yaadon ki duniya mein hum hote hain to ek yaad se doosri yaad,doosri se teesri judi hui milti hain, aisa lagta hai manon sab ek doosre se ek kadi ki tarah judi hui hon aur aap ek ek kadi leker aage badte jaa rahe hain jab tak ek aisi kadi nahi aati jiske aage ya to aap ja nahi sakte ya ja jana nahi chahte..
Par yaadein o yaadein hai ek bin buleye mehmaan ki tarah dastak deti rehti hain
Dastak di hai darwaze par
aaj purani yaadon ne
Doob chala hoon aaj mein
in yaadon ke maikhanon mein
jane pehchane se hain chehre
kuch apne se kuch begane se
Doob chala hoon aaj mein
in yaadon ke maikhanon mein
In chehron mein aaj bhi ik chehra bas khaas hai
door chahe jitna ho, mera kuch ab bhi uske paas hai
har chehre se ik kadi si jud jati hai
par har kadi idhar udhar se ghoom, usi par tham jati hai
us ek chehre ko nikaloon jaise
sab kadiya bikhar jati hain
khud ki yaadein khud se hi chin jati hain
kyon sab yaadein, apni nahi kisi aur ki jaise lagti hai
wo dastak deti yaadein us bin parai si lagti hain
na janoon mein ye hota kaise
na janoon hai majra kya
bas janoon ek chehre ke jane se , badal gaya hai saara jahaan
ek pal insaan badal gaya
ek pal mein badli yaadein
dil mein kuch bacha nahi, na kasmein na vade
Dastak di hai darwaze par
aaj purani yaadon ne
Doob chala hoon aaj mein
in yaadon ke maikhanon mein
Leave a Reply