Ye yaadein bhi ajeeb hoti hain, jab dekho bin bulaye aa jati hain. Jab jo bhoolna chaho wo yaad a jata hai aur jo yaad karna chaho wo bhul jata hai. Aur jab yaadon ki duniya mein hum hote hain to ek yaad se doosri yaad,doosri se teesri judi hui milti hain, aisa lagta hai manon sab ek doosre se ek kadi ki tarah judi hui hon aur aap ek ek kadi leker aage badte jaa rahe hain jab tak ek aisi kadi nahi aati jiske aage ya to aap ja nahi sakte ya ja jana nahi chahte..
Par yaadein o yaadein hai ek bin buleye mehmaan ki tarah dastak deti rehti hain
Nargis Fakhri and ranbir kiss in rockstar
Dastak di hai darwaze par
aaj purani yaadon ne
Doob chala hoon aaj mein
in yaadon ke maikhanon mein
jane pehchane se hain chehre
kuch apne se kuch begane se
Doob chala hoon aaj mein
in yaadon ke maikhanon mein
In chehron mein aaj bhi ik chehra bas khaas hai
door chahe jitna ho, mera kuch ab bhi uske paas hai
har chehre se ik kadi si jud jati hai
par har kadi idhar udhar se ghoom, usi par tham jati hai
us ek chehre ko nikaloon jaise
sab kadiya bikhar jati hain
khud ki yaadein khud se hi chin jati hain
kyon sab yaadein, apni nahi kisi aur ki jaise lagti hai
wo dastak deti yaadein us bin parai si lagti hain
na janoon mein ye hota kaise
na janoon hai majra kya
bas janoon ek chehre ke jane se , badal gaya hai saara jahaan
A poetry on lost love…..
Sometimes somewhere in life you wish there were things places and people you could forget. Wo yaadein mitane ka ji karta hai.
No feeling is worse than a lost love and this is my small attempt to portray that feeling Video on you tube..Yaadein
ye yaadeing ye yaadein ye yaadein tumhari
koi to mita do wo yaadein hamari
Satati hain roz ye yaadein tumhari
rulaiti hain mujhko wo baatein tumhari
ye yaadeim..
bhul jane ki koshish bahut ki magar
nahi bhool paya wo pyari dagar
pyaari dagar jahaan hum chale to sahi thi
kuch der mein dekha tum hi nahi the
ye yaadeing ye yaadein ye yaadein tumhari
koi to mita do wo yaadein hamari
rote rote sulata hoon apne ko yaroon
wo nahi hai samjhata hoon apne ko yaaron
Ye dil dukhta hai ye jab sochta hoon
ki aain mein bhi ab tujhe dekhta hoon
wo pehli hasi teri wo pehli nazar
nahi bhool paaya hoon ab tak magar
bhool jana to chaho wo pyaari si baateiin
par nahi kat rahi hain din aur ratein
ye yaadeing ye yaadein ye yaadein tumhari
koi to mita do wo yaadein hamari
kitni mohabbat kaise na bataoon
ye apni mohobat mein kaise chupaon
teri ye yaadein mein tujhse chupaoon
tu hi bata de mein kisko bataoon
ye yadein—-
Bade meine tujhko gam hain diye
aansoon ke ghoot dono ne piye
bahut roya hoon un yaadon ko lekar
chale tum gaye jab mu ferkar
ye yaadeing ye yaadein ye yaadein tumhari
koi to mita do wo yaadein hamari
yaadein ka jaise bhavar aa raha hai
fir se yaadon ka nasha cha raha hai
khuda se apne yahi hai dua
ye yaadein hata de
ya mujho bula le
ye yaadeing ye yaadein ye yaadein tumhari
koi to mita do wo yaadein hamari
raah dekhi thi is din ki kabse
aage ke sapne saja rakhe the naajane kab se
bade utavle the yahaan se jaane ko
zindagi ka agla padaav paane ko
par naa jane kyon ..dil mein aaj kuch aur aata hai
waqt ko rokne ka jee chahta hai
jin baton ko lekar rote the
aaj un par hansi aati hai
na jaane kyon aaj un palon ki yaad bahut aati hai
kaha kart tha ..badi mushkil se chaar saal seh gaya
par aaj kyon lagta hai ki kuch peeche reh gaya
kahi ankahi hazaaron batein reh gayi
na bhoolne wali kuch yaadein reh gayi
meri taang ab kaun kheencha karega
sirf mera sir khane kaun mera peecha karega
jahaan 2000 ka hisaab nahin wahaan 2 rupay ke liye kaun ladega
kaun raat bhar saath jag kar padega
KAUN MERA lunch mujse pooche bina khayega
kaun mere naye naye naam banayega
mein ab bina matlab kis se ladoonga
bina topic ke kisse faalto baat karoonga
kaun fail hone par dilasa dilayega
kaun galti se number aane par gaaliyaan sunayega
greenwood mein slice kis ke saath piyoonga
wo haseen pal ab kis ke saath jiyoonga
aise dost kahaan milenge
jo khai mein bhi dhakka de aayein
par fir tumhein bachane khud bhi kood jayein
meri ghazlon se pareshaan kaun hoga
kabhi muje kisi ladki se baat karte dekh hairaan kaun hoga
kaun kahega chadhe tere joke pe hansi nahin aai
kaun peeche se bula ke kahega..aage dekh bhai
carrom mein kiske saath kheloonga
kis ke saath boring lectures jheloonga
professors ke PJ par RAKSHAS ki tarah kaun hansega
“pugai mein haarne wale ki treat”..is chakkar mein ab kaun fansega
mere certificates ko raddi kehne ki himmat kaun karega
bina dare sachi raay dene ki himmat kaun karega
stage par ab kis ke saath jaoonga
juniors ko faltoo ke lectures kaise sunaonga
achanak bin matlab ke kisi ko bhi dekh kar paglon ki tarah hansna
na jaane ye fir kab hoga
keh do doston ye dobaara sab hoga
doston ke liye professor se kab lad payenge
kya hum ye fir kar payenge
raat ko 2 baje paranthe khane kaun jayega
3 gilaas lassi peene ki shart kaun lagayega
kaun muje mere kabiliyat par bharosa dilayega
aur jyada hawa mein udne par zameen pe layega
meri khushi mein sach mein khush kaun hoga
mere gam mein muj se jyada dukhi kaun hoga
meri ye kavita kaun padega
kaun ise sach mein samjega
bahut kuch likhna abhi baaki hai
kuch saath shayad baaki hai
bas ek baat se dar lagta hai doston
hum anjnabi na ban jayein doston
zindagi ke rangon mein dosti ka rang feeka na pad jaye
kahin aisa na ho doosre rishton ki bheed mein dosti dum tod jayye
zindagi mein milne ki fariyaad karte rehna
agar na mil sakein to kam se kam yaad karte rehna
chahe jitna hanslo aaj mujh par
mein bura nahi manooga
is hansi ko apne dil mein basa loonga
aur jab yaad aayegi tumhari
yahi hansi lekar thoda muskura loonga
[contextly_sidebar id=”D8pEDJgJv7thEr8jRSAQ2u3cTHOZgfq4″]I wrote a poem in my college days as an ode to my college life…over the years i have seen it floating around a Lot..and it seems many people are claiming it as their own :P:P.changing 1 line here and there :P:P……no copywrite on internet it seems:)…if you find this poem posted somewhere else..do let me know…love to see how people have given it their own twists:)
BTW This is the orignal version..it was written specifically for ITM gurgaon 2006 Batch…a Shout out to all my Batch Mates….Heleooooooooooooo
har dil ka koi dildaar nahin hota har koi ishq ke liye taiyaar nahin hota hum to dil chuke the unhein aur wo kehte hain..dosti ka matlab pyaar nahin hota.