Choti khushi–hindi

khushiyon ka intezaar kar rahe ho?

 

 

Ek din baitha tha yun hi

kar raha tha taiyari ,kai dino se ek badi khushi ka intezaar tha

soch raha tha ,kya kya karoonga jab wo aayegi,

naachoonga,gaoonga khoob dhoom machaonga

fir achanak darwaze par dastak hui

meine pucha kaun hai

Wo boli khushi,khushi hoon mein

haan thodi choti hoon,wo nahi jiski raah tum taak rahe ho

par hooon khushi hi, andar aa jaoon?

mein bola ruko zara,kuch kaam khatam kar loon

us badi khushi ke aane ka intezaam kar loon

 

Life goes on
choti khushiyaan

fir mein itna masroof ho gaya ki use bhool hi gaya

usne fir dastak di

boli,dahleez to paar karwa do chahe ghar mein jagah na dena

andar to aane do chahe swikaar na karna

mein kheej kar  bola,yaar tum pareshaan bahut karti ho , tum baad mein aana

,badi khushi ke swagat mein pakwaan banane hain

bahut kaam abhi baaki hain

kai intezaam abhi baaki hain

choti khushi boli, mein to roz aati hoon, din mein kai baar ,tum hi darwaza nahi kholte

ab nahi aaongi,kehkar wo pair patakye hue bache ke jaise chali gai

 

kai baras beet gai ,badi khushi nahi aai

pakwaan kharaab ho gaye,deewaron ka rang feeka  pad gaye

dil jaise taras gaya uske intezaar mein

par badi khushi nahi aai

Ek din sapno mein mila us badi khushi se

to pucha, tum mere ghar kyon nahi aai

meine khoob taiyari ki thi tumhare aane ki

pakwaan banaye,sapne bune,ghar sajaye

 

wo boli–are tumne pehchana nahi ,aai thi,kai baar aai thi par tab mera kad shayad chota tha.

tumne aane nahi diya, par kisi aur ne khuli baahon se apnaya

dekho aaj kitni badi ho gai hoon

 

ye sunte hi mein paseene paseene hokar uth baitha,bhaag kar darwaza khola par koi nahi tha

 

Aaj mera dil aur darwaza dono khule hain

par koi dastak nahi karta , koi dehleez paar karne ki zid nahi karta

koi dastak nahi karta

 

I send infrequent newsletters. You can signup for them below.
* indicates required
What are you interested in

Posted

in

,

by

Comments

5 responses to “Choti khushi–hindi”

  1. mun Avatar
    mun

    loved it !

  2. Madhur Chadha Avatar
    Madhur Chadha

    Thanks 🙂

  3. Arvind Upadhyay Avatar
    Arvind Upadhyay

    Really Great! You make me able to understand how to live our life.

    1. admin Avatar
      admin

      Thanks a lot Arvind:) Much appreciated

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *