Graduation Ceremony

Poetry on last day of college

Recently a few students of Aligarh Muslim university approached me to record a poetry for their seniors to be played on the last day of their college . This poetry was a gift from the current batch to passing away batch on their farewell.

I loved the gesture and am happy to have been able to contribute

Poem composed by: Dr. Aftab &  Abid Nadeem Nomani , shatir

This poetry style was inspired by my older poem : Nostalgia ode to college life and friends

Nostalgia ..The Complete Orignal Poem(Hindi) full text

 Haye    ye   kaisi  ghari  aa   gai hai
Musibat   ye kaisi bari aa gai  hai
Dil ye karta hai, aansoo bahata rahoon
Khud bhi rota rahoon, aur rulata rahoon
Kitne haseen pal the, jab yaha aaye the
Nadan wa be aqal the, jab yaha aaye the
Ghar se door  aaye to bara darr lagta tha
Kaise kat payega  mushkil  safar lagta tha
Kabhi humko batate the ye kaam galat hai
Baron se oonchi hai awaz ye baat galat hai
Kabhi dantna aur do batein sunana
Fir agle hi pal aakar seene se lagana
Wo bhi kya din the jab senior se darte the
Darr ke mare classon me raha karte the
Magar wahi bare jo paraye lagte the
Hame har waqt nazron me bithaye rakhte the
Unki judai se ye aankh bharr aai hai
Kalam kaanp raha,awaz bhi bharrai hai
Unka wo chhoti si baat par humse rooth jana
Aur fir kamron me aakar khud  hame manana
Wo baat baat me hame bura bhala kahna
Magar tahzeeb ki batein bhi bar mala kahna
Kuch bhi ho ,tumse  bahut kuch seekha humne
Tumse jeene ka saleeqa seekha humne
Tumse har mor par wafa hi wafa payi hai
Chot pahunchi jo hame aankh teri bhar aaihai
Jab kabhi guzri hui baton ko yaad karta hon
Tum se har aan mulaqat ki faryad karta hoon
Kya tum hame tanha chhor jaoge
Kya tum kabhi laut kar nahi aaoge
Hum jo thokren khayen to sambhaloge nahi
Kya hame  ab andhero se nikaloge nahi
Kya mere dilko tadapte huye dekhoge
Kya meri aankh baraste huye dekhoge
Bahut si baten aisi jo keh nahi sakte
Magar kahe bina bhi rah nahi sakte
Hazaar  shikayaten hon  sub maaf kar dena
Tumhare bhai bahen hain maaf kar dena
Zara dekho in ankhon ko kaise roye jati hain
Jo inme noor thaw o noor bhi ye khoye jati hain
Tumhare baad ab is dard par marham nahi hoga
Hamari zindagi me pyar ka mausam nahi hoga
Kaun lafzon ki jadoogari sikhayega
Kaun likhna padhna hame sikhayega
Fail hone par kaun hame himmat dilayega
Kaun naqal karne ke tareeke batayega
Tum na hoge to dharne pe kaun baithega
Administration ki galtiyon pe kaun bhadkega
Tum se seekha hai mohabbat me inkar na karna
Tum pyar to karna magar izhar na karna
Tumse seekha hai ustad ki izzat kya hai
Tumse jaana hai ki sachi mohabbat kya hai
Tum chale jaoge to hamara ladakpan bhi jayega
Jawani bhi jayegi, hamara bachpan bhi jayega
Bahut yaad ayega guzra zamana
Marhaba ki pastries  wo bobby’s ka khana
Wo munna  wo jeetu  wo rabbani ki chaye
Wo mamoo ki biryani wo momos fry
Tum hi  the sabhi kuch tumhi ja rahe ho
Ye kiske  hawale kiye ja rahe ho
Hame rulake tumhe bhi sukoon na ayega
  S.S  hall aur shame I.G  na  bhool  payega
Hamare saath  ameer nishan ki yaad ayegi
Fir uske baad raton ki neend jayegi
Abhi bhi yaad hai bina sherwani dining jana
Aur har lukme ke sung tumhari daant bhi khana
Hawai chappalon ke sung murga bana diya tumne
Ajeeb hunar tha murge se anda dila diya tumne
Zindagi meri adhoori hai adhoori na rahe
Tum jahan bhi raho bus dil me doori na rahe
Dard me hain suhaib aur gham me zafeer
Aankh me aftab ki hai yadon  ka  dher
Kahin aisa naho waqt ki andhi me kho jao
Fir uske baad humse milne na aa pao
Zindagi me milne ki faryad karte rahna
Mil na paye to shatir ko yaad karte rahna
Aftab hai mera nam aur ye tha mere seniors k lye ek chota sa paigam
I send infrequent newsletters. You can signup for them below.
* indicates required
What are you interested in

Posted

in

by

Comments

One response to “Poetry on last day of college”

  1. Muslim Biryani Avatar

    Hey, I think your post was awesome.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *